Skip to main content

Posts

Har saal ek nayi kitaab hoti hai zindagi

Har saal ek nayi kitaab hoti hai zindagi, Kuch kore, kuch adhure, kuch bhare hue paano ka hisaab...hoti hai zindagi. Kuch roothe hue rishte, Kuch pyaar ki kishte, Kayi dil ke saude jo hue mehenge, kuch jaane anjaane mei bole hue bol woh 'saste'. Kuch tohfe nayaab, Kuch bikhare hue khwaab, Kayi saare uljhe hue sawaal, kuch thode se suljhe jawaab. Yeh waqt itna jo hua naseeb, Kuch lamhe the jo dil ke kareeb, Kayi baar toh dil hua aamir, kuch thode se pal jab dil tha gareeb. Darj hai is kitaab mei yeh sab, Padhlo mann chahe jab. Is saal un kore aur adhure paano ko bharna hai, Thaan lo ki jo dil chahe woh karna hai, Na koi bandhan, na ho bandagi, Kyuki har saal ek nayi kitaab hoti hai zindagi.

Zara Ahista Chal Zindagi...

Very nice  poetry Read it slowly Ahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baaki hai. Kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai. Raftaar mein tere chalne se kuchh rooth gaye, kuch chhut gaye. Roothon ko manana baaki hai, roton ko hasana baki hai. Kuch hasraatein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri hai. Khwahishen jo ghut gayi is dil mein, unko dafnana baki hai. Kuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chhut gaye. Un tootte-chhutte rishton ke zakhmon ko mitana baki hai. Tu aage chal main aata hoon, kya chhod tujhe ji paunga? In saanson par haqq hai jinka, unko samjhaana baaki hai. Aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baki hai... I got this nice forward.... And then I thought and pondered over it...and added... Zara ahista chal zindagi, abhi kuch aur likhna baaki hai... Lakhon karodo khayalon ko, sabke dilon mei utarna baaki hai Kagaaz safed pade hai...kalam se unpe syahi bharna baaki hai Isliye...zara ahista chal zindagi, abhi to...

Apna Bachpan na bhulna!!!

Kabhi socho toh aisa lagta hai, jaise yeh bada hona bas ek dhokha hai... Yaadon se dil bhar aata hai, jab aankhon se guzarta bachpan ka jharokha hai... Woh shaaratein, woh dosti, Woh nadaaniyan, woh masti Woh kudnaa, woh khelna, Woh ladnaa jhagadna, Woh school ki kitaabein, Saare bachpan ki yaadein. Khair bada hona toh majboori hai, Par yeh baat bhi zaroori hai, Umar chahe jo bhi, apne bachpan ko na bhulna, Bade zaroor hona par apne dil mei chupe hue us bacche ko mat bhulna!