Skip to main content

Posts

Zara Ahista Chal Zindagi...

Very nice  poetry Read it slowly Ahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baaki hai. Kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai. Raftaar mein tere chalne se kuchh rooth gaye, kuch chhut gaye. Roothon ko manana baaki hai, roton ko hasana baki hai. Kuch hasraatein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri hai. Khwahishen jo ghut gayi is dil mein, unko dafnana baki hai. Kuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chhut gaye. Un tootte-chhutte rishton ke zakhmon ko mitana baki hai. Tu aage chal main aata hoon, kya chhod tujhe ji paunga? In saanson par haqq hai jinka, unko samjhaana baaki hai. Aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baki hai... I got this nice forward.... And then I thought and pondered over it...and added... Zara ahista chal zindagi, abhi kuch aur likhna baaki hai... Lakhon karodo khayalon ko, sabke dilon mei utarna baaki hai Kagaaz safed pade hai...kalam se unpe syahi bharna baaki hai Isliye...zara ahista chal zindagi, abhi to...

Apna Bachpan na bhulna!!!

Kabhi socho toh aisa lagta hai, jaise yeh bada hona bas ek dhokha hai... Yaadon se dil bhar aata hai, jab aankhon se guzarta bachpan ka jharokha hai... Woh shaaratein, woh dosti, Woh nadaaniyan, woh masti Woh kudnaa, woh khelna, Woh ladnaa jhagadna, Woh school ki kitaabein, Saare bachpan ki yaadein. Khair bada hona toh majboori hai, Par yeh baat bhi zaroori hai, Umar chahe jo bhi, apne bachpan ko na bhulna, Bade zaroor hona par apne dil mei chupe hue us bacche ko mat bhulna!

Kuch khayal

Tu hoor hai, tu noor hai, Tujh mei koi baat jaroor hai, Isliye dil mera yu majboor hai. Tu fiza hai, tu ada hai, Auron se tu bilkul judaa hai. Mere liye toh tu hi khuda hai. Tu pyaas hai, tu ehsaas hai, Tere liye hi meri har yeh saas hai. Tu din hai, tu raat hai, Tu dhoop, tu hi barsaat hai, Kaise batau tujhe kya ye mere jazbaat hai. Tu khoobsurat sa ek khayal hai, Tu ek uljha sa sawaal hai, Fir sochu toh tu koi pyaara sa khwab hai, Aur mere sawaalon ka jawab hai..

Bas tumhi hamara pyaar ho...

Kab tak yunhi unka intezaar ho, kab tak yunhi dur se deedar ho... Badi muskil se yeh dil sambhalta hai, Har pal yeh machalta hai, Pal pal yeh kehta hai... Bas kabhi unse yeh ikraar ho, chahat ka izhaar ho, Aur unki bhi humse yehi takraar ho, Bas tumhi hamara pyaar ho, Bas tumhi hamara pyaar ho...